bakhsh di haal-e-zabun ne jalwa-samani mujhe kash mil jae zamane ki pareshani mujhe ai nigah-e-dost ai sarmaya-dar-e-be-khudi hosh aata hai to hoti hai pareshani mujhe khul chuka han khul chuka dil par tera rangin fareb de na dhoka ai tilism-e-hasti-e-fani mujhe phir na sabit ho kahin nang-e-bayaban jism-e-raaz soch kar karna junun mail ye uryani mujhe muntaha-e-zauq-e-sajda ye ki ek fareb kufr tak le aai takmil-e-musalmani mujhe manzilon 'ehsan' pichhe rah gae dair o haram le chala jaane kahan sailab-e-hairani mujhe