bas-ki dushwar hai us shakhs ka chehra likhna warna mushkil to nahin koi sarapa likhna ye bhi mumkin hai ki tahrir badal di jae dosto apna bayan khun se pukhta likhna kuchh hamein sair-o-tamasha se nahin dilchaspi shaghl bas apna hai tanhai mein padhna likhna dil ka darwaza tumhaare liye wa rakkhenge laut aane ka kabhi ho jo irada likhna bhej to sakte ho tum likh ke shikayat un ko shart bas ye hai ki koi lafz na chubhta likhna log asnad ke kashkol liye phirte hain kitna be-sud hai is daur mein padhna likhna kaise diwane hain likhte hue thakte hi nahin ek hi lafz ko sidha kabhi ulta likhna pas-e-tahzib to kuchh pas-e-qalam hai hum ko warna aata hai hamein jaise ko taisa likhna log jab likh ke siyah kar gae diwaren tak kaun padhta hai bhala ret pe mera likhna sar mein sauda tha ajab likh gaya us ko kya kuchh dil ne samjhaya bahut tha ki na aisa likhna yaad kya rakhta ki wo zud-faramosh bhi tha main bhi kuchh bhul gaya us ko taqaza likhna likhte hi jaenge hum un ko arize 'mohsin' wo padhen ya na padhen kaam hai apna likhna