baKHshish ke liye apni itna hi to saman hai

bakhshish ke liye apni itna hi to saman hai
bhigi hui palken hain bhiga hua daman hai

ulfat hi zamane mein taskin ka saman hai
ek lafz mohabbat hi har dard ka darman hai

ye zist khuda jaane kis baat pe nazan hai
mitti ke gharaunde mein kuchh der ki mehman hai

sachchon ki agar dushman duniya hai to hone do
sach bolne walon ka allah nigahban hai

kya jaaniye chingari kab koi bhadak utthe
barud ke dheron par baitha hua insan hai

zahir se kisi shai ke khao na 'sada' dhoka
shoale mein bhi shabnam hai qatre mein bhi tufan hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close