be-zamiri ka pata deta raha zarf tha khali sada deta raha dekhne ki hum ne zahmat hi na ki hath mein wo aaina deta raha chashm-e-nam ranj-o-mehan ke sath sath waqt hum ko tajraba deta raha aur kya karta gharibon ka ilaj padh ke pani par dawa deta raha sun ke wo karte rahe the an-suni phir bhi main un ko sada deta raha ai 'sada' mujh ko to bas mera yaqin har qadam par hausla deta raha