bala jaane kisi ki hijr mein is dil pe kya guzri kare sayyaad kyun parwa kisi bismil pe kya guzri nisar-e-shama ho jaana to parwane ki fitrat hai na puchho khak hone se mere mahfil pe kya guzri shabistan-e-musarrat mein jo mahw-e-aish-o-ishrat hain unhen is ka pata kya rahraw-e-manzil pe kya guzri junun-e-qais par hanste to hain aql-o-khirad wale kise malum hai khud laili-e-mahmil pe kya guzri use ai kash ye malum ho jae kisi surat ki us ki be-rukhi se 'qadri' ke dil pe kya guzri