mai se wo jam-e-jism hai jab se bhara hua sar hai futur-e-khwahish-e-shab se bhara hua dil hai ki jaanta hai junun ka maal bhi sar hai ki phir bhi shor-o-shaghab se bhara hua ghaflat-shiar dil pe koi raat dal kar jata hai mehr ghaiz-o-ghazab se bhara hua diwar-e-mai-kada koi raste mein aa gai warna ye jam hai koi ab se bhara hua hatta nahin nigah-e-alamnak se kabhi chehra koi khumar-e-tarab se bhara hua