bala ka shor-o-fughan hai nihan khamoshi mein main khul ke samne aaya hun parda-poshi mein nigah-e-adl se dekhen to mir-e-mahfil ke jalal-o-mal muawin hain aib-poshi mein main tan hun shah-e-rag-e-jaan ko mujhe bachana hai chala hun jaanib-e-kashmir sarfaroshi mein jis imbisat se suqraat pi gaya tha jam use yaqin tha amrit hai zahr-noshi mein ye kya ki zoam-e-qazawat mein qaid kar liya hai koi to aib nikalen janab doshi mein tumhaari aankh se milta hai jo zamane ko kahan surur hai aisa sharab-noshi mein yatim-e-taza ko ye nagawar guzregi aza ki baat na kar rasm-e-taj-poshi mein