bala ki beDiyan ulfat mein pahnin jaan-e-man do do

bala ki bediyan ulfat mein pahnin jaan-e-man do do
dil-e-betab apna ek zulf-e-pur-shikan do do

kabhi is se tumhein dekhun kabhi us se tumhein dekhun
mili hain is liye aankhen mujhe ai jaan-e-man do do

diye hain ek tauba ki sada maikhane ke dar par
kahin gardish mein hain paimana-e-tauba-shikan do do

na ghar raushan kabhi hoga na ek parwana aaega
jalaun badle ek ke din ko sham-e-anjuman do do

idhar fariyaad be-tasir udhar sidhi nazar un ki
hamari jaan ke khwahan hue nawak-fagan do do

kahun main kya fasana aap se farhad-o-majnun ka
bhatakte phirte hain dasht-e-junun mein be-watan do do

tumhaari shokh aankhon se bachana us ko mushkil hai
hamara tair-e-dil ek hai nawak-fagan do do

mere qalb-o-jigar ko dekh kar bismil koi bola
tadapte hain pade maqtal mein be-gor-o-kafan do do

khilae husn ne kya gul ki 'hamid' ek muddat par
pae-shikwa khule hain ab lab-e-ghuncha-dahan do do


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close