ek shakhs tha so ab wo bayaban-naward hai is shahr mein hamare siwa kaun mard hai chehra har ek madd-e-muqabil ka zard hai ishq-e-nabard-pesha talabgar-e-mard hai yak-jehti-e-nigah ko aawaz kaun de har daftar-e-khayal yahan fard fard hai is justuju ki daud mein ye bhed bhi khula rang-e-sukhan talash-e-maani ki gard hai ghurfe se lamhe lamhe ke jhankega asl rang chehre pe hum sabhon ke agar aab zard hai dast-e-sukhan mein tesha-e-baatil na dijiye dushman agarche rah ka har sang-e-sard hai is mein hararton ki nai ruh phunk do khwahish ki lash ek zamane se sard hai