bala se apni ab aati rahe bahaar kabhi

bala se apni ab aati rahe bahaar kabhi
kali pa sukhi na aaega phir nikhaar kabhi

hazar barq gire lakh aashiyane jalen
ruke na gulshan-e-hasti ka karobar kabhi

har ek nigah nihaare nae shagufon ko
sune na koi gul-e-zard ki pukar kabhi

bachega aankh se gulchin ki kab talak aakhir
nahin hai phul ki hasti ka e'tibar kabhi

nizam-e-bagh ab ai baghban badal kuchh to
kali ko phul ko de kuchh to ikhtiyar kabhi

samajh ke sukha hua phul jis ko phenk diya
tha wo 'sada' bhi kisi ke gale ka haar kabhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close