azal se jo musalsal hai rawan wo karwan hum hain

azal se jo musalsal hai rawan wo karwan hum hain
jo badle dam-ba-dam taham hai qaem wo jahan hum hain

simatne par agar aaen to ek tan mein simat jaen
lagen jab phailne to wusat-e-kaun-o-makan hum hain

gila kya jo nikala aadam-o-hawwa ko jannat se
usi ke aaj sadqe nazim-e-bagh-e-jahan hum hain

hue kab aashna hum apni hasti ki haqiqat se
hamara raaz hai aisa ki hum se bhi nihan hum hain

jinhen hum bulbula pani ka dikhte hain kaho un se
nazar ho dekhne wali to bahr-e-be-karan hum hain

ye suraj chand tare sab chalen rah-e-muayyan par
chunen hum rah khud apni khud apne rah-dan hum hain

yahan har aadmi masruf hai apni masafat mein
ruke pal-bhar koi to puchh len us se kahan hum hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close