bala se hain jo ye pesh-e-nazar dar-o-diwar nigah-e-shauq ko hain baal-o-par dar-o-diwar wufur-e-ashk ne kashane ka kiya ye rang ki ho gae mere diwar-o-dar dar-o-diwar nahin hai saya ki sun kar nawed-e-maqdam-e-yar gae hain chand qadam pesh-tar dar-o-diwar hui hai kis qadar arzani-e-mai-e-jalwa ki mast hai tere kuche mein har dar-o-diwar jo hai tujhe sar-e-sauda-e-intizar to aa ki hain dukan-e-mata-e-nazar dar-o-diwar hujum-e-girya ka saman kab kiya main ne ki gir pade na mere panw par dar-o-diwar wo aa raha mere ham-sae mein to sae se hue fida dar-o-diwar par dar-o-diwar nazar mein khatke hai bin tere ghar ki aabaadi hamesha rote hain hum dekh kar dar-o-diwar na puchh be-khudi-e-aish-e-maqdam-e-sailab ki nachte hain pade sar-ba-sar dar-o-diwar na kah kisi se ki 'ghaalib' nahin zamane mein harif-e-raaz-e-mohabbat magar dar-o-diwar