umr-bhar ishq kisi taur na kam ho aamin dil ko har roz ata neamat-e-gham ho aamin mere kase ko hai bas chaar hi sikkon ki talab ishq ho waqt ho kaghaz ho qalam ho aamin hujra-e-zat mein ya mahfil-e-yaran mein rahun fikr duniya ki mujhe ho bhi to kam ho aamin jab main khamosh rahun raunaq-e-mahfil thahrun aur jab baat karun baat mein dam ho aamin log chahen bhi to hum ko na juda kar paen yun meri zat teri zat mein zam ho aamin ishq mein dub ke jo kuchh bhi likhun kaghaz par khud-bakhud lauh-e-zamana pe raqam ho aamin na dara pae mujhe tirgi-e-dasht-e-firaq har taraf raushni-e-dida-e-nam ho aamin 'mir' ke sadqe mere harf ko darweshi mile dur mujh se hawas-e-dam-o-diram ho aamin mere kanon ne suna hai tere bare mein bahut meri aankhon pe bhi thoda sa karam ho aamin jab zamin aakhiri hiddat se pighalne lag jae ishq ki chhanw mere sar ko baham ho aamin