bala se martabe unche na rakhna kisi darbar se rishte na rakhna jawanon ko jo dars-e-buzdili den kabhi honton pe wo qisse na rakhna agar phulon ki khwahish hai to sun lo kisi ki rah mein kante na rakhna kabhi tum sailon se tang aa kar gharon ke band darwaze na rakhna padosi ke makan mein chhat nahin hai makan apne bahut unche na rakhna nahin hai ghar mein mal o zar to kya gham wirasat mein magar qarze na rakhna rais-e-shahr ko main jaanta hun koi ummid tum us se na rakhna bahut be-rahm hai 'tabish' ye duniya talluq is se tum gahre na rakhna