ye lau kaisi hai jo ek sans bhi maddham nahin hoti bhulane par bhi zalim yaad us ki kam nahin hoti ye matlab-ashna duniya ye zalim bewafa duniya sharik-e-aish kar lije sharik-e-gham nahin hoti adam ke jaane wale qafile din-raat chalte hain magar is anjuman ki dilkashi kuchh kam nahin hoti na puchh ai ham-nashin rudad-ha-e-sham-e-gham hum se qayamat ki sahar hoti hai sham-e-gham nahin hoti bhulaya hai mujhe tu ne teri barham-mizaji ne magar bedard teri yaad phir bhi kam nahin hoti nahin waqif tu ai dil aatish-e-soz-e-mohabbat se ye daulat jis qadar aati hai ghar mein kam nahin hoti 'safir' ab tak to rudad-e-mohabbat kham hai teri abhi to aankh bhi fart-e-alam se nam nahin hoti