ban gaya hai jism guzre qafilon ki gard sa kitna viran kar gaya mujh ko mera hamdard sa kya abhi tak us ka rasta rokti hai koi soch mere hathon mein hai us ka hath lekin sard sa is tarah ghul-mil gaya aa kar nae mahaul mein wo bhi ab lagta hai mere ghar ka hi ek fard sa jazb tha jaise koi suraj hi us ke jism mein dur se wo sang lagta tha ba-zahir sard sa aaj tak aankhon mein hai manzar bichhadne ka 'nasim' pairahan mela sa us ka aur chehra zard sa