ai dasht-e-arzu mujhe manzil ki aas de meri thakan ko gard-e-safar ka libas de parwardigar tu ne samundar to de diye ab mere khushk honton ko sahra ki pyas de fursat kahan ki zehan masail se lad saken is nasl ko kitab na de iqtibas de aansu na pi sakenge ye tanhaiyon ka zahr bakhsha hai gham mujhe to koi gham-shanas de lafzon mein jazb ho gaya sab zindagi ka zahar lahja bacha hai is ko ghazal ki mithas de