ban gaya tadbir se har rasta taqdir ka ab nahin kuchh khauf pairon ko kisi zanjir ka kar diya khamosh shoalon ne jala kar har waraq lafz phir bhi chikhta ek rah gaya tahrir ka khak sargardan hai har su kuchh nahin badla yahan dekhti hain ab bhi rahen rasta rahgir ka ek rukh par thin bahaaren ek rukh be-rang-o-nur aur meri samt tha be-rang rukh taswir ka jab nishane par mere dil ke siwa kuchh bhi na tha phir asar hota na kyun teri nazar ke tir ka hum faqiri mein 'alina' shad hain aabaad hain kya hamein karna hai teri daulat-o-jagir ka