deti hain thapkiyan teri parchhaiyan mujhe rashk-e-bahisht hain meri tanhaiyan mujhe mere nasib mein sahi aah-o-fughan magar ab to sunai deti hain shahnaiyan mujhe kitne uruj par hai mere ishq ka waqar hasil hain ku-e-yar ki ruswaiyan mujhe mail hai chashm-e-mast idhar lag raha hai ab aawaz dengi jhil ki gahraiyan mujhe qaem hai mere dard ka ab tak wahi bharam ab bhi salam karti hain purwaiyan mujhe is daur-e-sarkashi ki kashakash ke darmiyan lagti hai pur-sukun jabin-saiyan mujhe jo the kharab wo to bulandi pe hain 'alim' pasti mein le gain meri achchhaiyan mujhe