ban ke aansu meri aankhon mein samane wale khair ho teri mujhe chhod ke jaane wale aakhirash kaun sa rasta hai jidhar jate hain chhod kar rah mein ye sath nibhane wale hum to sheron ko udasi ke sabab kahte hain jaane kyon jalte hain phir hum se zamane wale jaghen kuchh hotin nahin yar tumhaare laeq har jagah hote ho tum panw jamane wale apni umren bhi bitaen ki jatan lakh kiye phir bhi nakaam rahe haq ko dabane wale wo kya jaane hain ye tasir qalam ki 'hamza' log hote hain jo talwar chalane wale