phir rag-e-shoala-e-jaan-soz mein nashtar guzra nala kyun aabla-e-dil se ulajh kar guzra main hun dil-dari-e-afsun-e-wafa par nazan jo raqibon pe na guzra tha wo mujh par guzra kya muhit-e-mai-e-be-rang mein tufan aaya josh-e-rang anjuman-e-naz se bahar guzra tishna-e-hasrat-e-jawed hun main kya jaanun kyun gale se mere talkhaba-e-kausar guzra aao mere dil-e-afsurda ki tamkin dekho jao is kashmakash-e-naz se main dar-guzara lut gai jaan to ummid ke pahlu dhunde mit gai rah to andesha-e-rahbar guzra is takalluf se gai umr-e-giran-maya 'wafa' ek dam sainkadon barson ke barabar guzra