ban-sanwar kar jab kabhi wo gulistan mein aa gae aur nasrin lala-o-sarw-o-saman sharma gae koi aage hai ki pichhe is se kuchh matlab nahin ghaur is par kijiye ki hum kahan tak aa gae gul ke insan aur the aur aaj ke kuchh aur hain aaj ke insan ko dekho mehr-o-mah par chha gae jab bhi aai koi mushkil hum hue sina-sipar aur honge mushkilon mein phans ke jo ghabra gae dastan-e-ishq mein aaya tha ek aisa maqam baat meri ho rahi thi aur wo sharma gae dosto yaad-e-ilahi aisi manzil hai jahan pa gae wo kho gae jo kho gae wo pa gae ja ke 'bismil' manzil-e-jaanan mein khud-rafta na ho ye wo manzil hai jahan pa-e-khirad tharra gae