be-sabab kyun tabah hota hai fikr-e-farda gunah hota hai tujh ko kya dusron ke aibon se kyun abas ru-siyah hota hai mujh ko tanha na chhod kar jao ye khala be-panah hota hai zak usi se bahut pahunchti hai jo mera khair-khwah hota hai us ghadi us se mang lo sab kuchh jab 'adam' baadshah hota hai