bana hai dushman-e-gul jab se baghban apna bhari bahaar mein jalta hai aashiyan apna agar ho izn to ai mir-e-karwan puchhun chala hai kaun si manzil ko karwan apna ab is gali mein mera koi ham-jalis nahin qadam qadam pe jahan kal tha raaz-dan apna jahaz apne harifon ke be-shumar sahi karo na fikr ki dariya hai be-karan apna zamin ke fitnon se hum kis liye daren 'betab' ki aasman hai har lamha pasban apna