pahle to dam-e-zulf mein uljha liya mujhe

pahle to dam-e-zulf mein uljha liya mujhe
bhule se phir kabhi na dilasa diya mujhe

kya dardnak manzar-e-kashti tha rud mein
main na-khuda ko dekh raha tha khuda mujhe

baitha hua hai rashk-e-masiha mere qarib
kas bebasi se dekh rahi hai qaza mujhe

un ka bayan meri zaban par jo aa gaya
lahje ne un ke kar diya kya khush-nawa mujhe

jin ko rahi sada mere marne ki aarzu
jine ki de rahe hain wahi ab dua mujhe

jaane ka waqt aaya to aai sada-e-haq
muddat se aarzu thi mile ham-nawa mujhe

har baam-o-dar se ek ishaara hai roz-o-shab
ne main wafa ko chhod saka ne wafa mujhe

duniya ne kitne mujh ko dikhae hain sabz bagh
un se na koi kar saka lekin juda mujhe

khushbu se kis ki mahak rahe hain masham-e-jaan
daman se de raha hai koi to hawa mujhe

taswir us ke hath mein lab par meri ghazal
dekha na ek aankh na jis ne suna mujhe

fard-e-amal mein meri hon shamil sab un ke jaur
un ke kiye ki shauq se dije saza mujhe

meri wafa ka un ko mile hashr mein sila
mil jaen un ke nam ke jaur-o-jafa mujhe

har roz mujh ko apna badalna pada jawab
roz ek sabaq padhata hai qasid naya mujhe

dekha tumhaari shakl mein husn-e-azal ki zau
sajda tumhaare dar pe hua hai rawa mujhe

jhonka koi nasim ka 'gulzar'-e-naz mein
un ka payam kash sunae saba mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close