bana hua tha kahin aab-dan kaghaz par thi itni pyas ki rakh di zaban kaghaz par kiraye-dar ki aankhon mein aa gae aansu banae baithe the bachche makan kaghaz par tumhaare khat mein nazar aai itni khamoshi ki mujh ko rakhne pade apne kan kaghaz par tamam umr guzari hai dhup mein shayad bana raha hai koi saeban kaghaz par utha liya hai qalam ab to main ne bhi 'yasir' utar dalunga sari thakan kaghaz par