ajab bhul o hairat jo makhluq ko hai khuda ki talab shirk ki justuju hai sharab-e-mohabbat mein makhmur hun main piyala bhara hai mulabbab subu hai pata ek ka do mein kyun kar milega jo kasrat fana ho to khud tu hi tu hai nahin ghair koi tashakhkhus ka parda man-o-tu faqat ghair ki guftugu hai hai khud aap maujud har yak sifat se judai nahin is mein kuchh mu-ba-mu hai sifat bast-o-qabiz ki tukhm-o-shajar hai jo bu hai so gul hai jo gul hai so bu hai wo pir-e-tariqat hai kaamil usi ko khuda is ke har aan mein ru-ba-ru hai wajud ek hai surat us ki mughayyar hai jalwa usi ka na main aur tu hai tu 'markaz' hai aalam mein paida-o-zahir banaya banata hai jo kuchh ki tu hai