bana ke todti hai daere charagh ki lau baha ke le gai mujh ko kahan shuur ki rau bana chuka hun adhure mujassame kitne kahan wo naqsh jo takmil-e-fan ka ho partaw wo mod mere safar ka hai nuqta-e-aghaz fareb-khurda-e-manzil hue jahan rah-rau larazte hain meri mahrum-e-khwab aankhon mein bikhar chuke hain jo khwab un ke muntashir partaw bhatak na jaun main tashkik ke andheron mein laraz rahi hai meri sham-e-etaqad ki lau shab-e-daraaz ka hai qissa mukhtasar 'kaifi' hui sahar ke ujalon mein gum charagh ki lau