bikhar ke ret hue hain wo khwab dekhe hain meri nigah ne kitne sarab dekhe hain sahar kahen to kahen kaise apni subhon ko ki raat ugalte hue aaftab dekhe hain koi bhi rut ho mili hai dukhon ki fasl hamein jo mausam aaya hai us ke itab dekhe hain main bad-guman nahin hun magar kitabon mein tumhaare nam kai intisab dekhe hain kabhi ki ruk gai barish guzar chuka sailab kai ghar ab bhi magar zer-e-ab dekhe hain koi hamari ghazal bhi mulahiza karna tumhaare hum ne kai intikhab dekhe hain panah dhundte guzri hai zindagi 'kaifi' jhulasti dhup mein sae ke khwab dekhe hain