bana leta main tujhko ham-safar kuchh sal pahle tak

bana leta main tujh ko ham-safar kuchh sal pahle tak
magar is baat se lagta tha dar kuchh sal pahle tak

mujhe fikr-e-maishat thi tujhe khauf-e-judai tha
alag the zawiya-ha-e-nazar kuchh sal pahle tak

main nadan tha use apne tasarruf mein nahin laya
bahut nazdik thi shakh-e-samar kuchh sal pahle tak

teri darwesh-ankhon ka iradat-mand ban jata
tu mujh ko mil gai hoti agar kuchh sal pahle tak

inhen chun chun ke tere ishq ka indhan bana deta
ye mah-o-sal sale the kidhar kuchh sal pahle tak

tere galon ke dimple mein nigahen dub jati thin
lahu mein raqs karte the bhanwar kuchh sal pahle tak

mujhe 'yawar-azim' ab tak wo aankhen yaad aati hain
main un palkon ke tha zer-e-asar kuchh sal pahle tak


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close