faza-e-shahr ko wahshat-asar taslim karte hain

faza-e-shahr ko wahshat-asar taslim karte hain
dilon mein chhap ke baitha hai jo dar taslim karte hain

hamare ghar ki tanhai pe pura haq hamara hai
use hum apne aangan ka shajar taslim karte hain

jo sach puchho to ab wo shai nahin apne thikane par
ye hum hain jo use ab tak idhar taslim karte hain

meri shoridgi mujh ko kahin thamne nahin deti
bhanwar mujh ko ba-zat-e-khud bhanwar taslim karte hain

hamari zat se sanjidgi ka khol utra hai
ye teri dil-nawazi ka asar taslim karte hain

hum in mahtab chehron ke jilau mein ghumne wale
teri yaadon ko apna ham-safar taslim karte hain

waba jo shahr mein phaili hai wo rukne nahin wali
samajhte hain hamare chaaragar taslim karte hain

kisi insan se apni tabiat mil nahin sakti
sab apne aap ko farrukh-siyar taslim karte hain

teri qudrat ke aage bas nahin chalta kisi shai ka
tere bande tere muhtaj-e-dar taslim karte hain

ajab zauq-e-nazara dida-e-purnam ne bakhsha hai
ziya-e-ashk ko aab-e-guhar taslim karte hain

main apni shaeri se mutmain hota nahin 'yawar'
agarche mujh ko sab ahl-e-hunar taslim karte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close