banae sab ne isi khak se diye apne falak se tut ke shams-o-qamar nahin aae gali gali ho jahan jannaton ka gahwara hamari rah mein aise nagar nahin aae har ek mod se puchha hai manzilon ka pata safar tamam hua rahbar nahin aae ghamon ke bojh se tuti hai zindagi ki kamar badan pe zakhm kahen chaara-gar nahin aae gulon ki aanch ne jhulsa diya bahaaron ko chaman ko lutne barq-o-sharar nahin aae hue hain sina-e-shab mein jo dafn afsane lab-e-sahar pe kabhi bhul kar nahin aae chamak uthe hain thapedon ki chot se qatre sadaf ki god mein 'anjum' guhar nahin aae