parchhaiyon ke shahr zamin par basa diye badli hata ke chand ne jangal saja diye kitne hi daeron mein bata markaz-e-khayal ek but ke hum ne saikadon paikar bana diye tute kisi tarah to fazaon ka ye jumud aandhi ruki to hum ne nasheman jala diye ab raston ki gard se atte nahin badan naqsh-e-qadam asir-e-gul-e-tar bana diye ek chand ki talash mein ghume nagar nagar laute to aasman ne sitare bujha diye bazi to hum ne aaj bhi haari nahin huzur nazren bacha ke aap ne mohre utha diye thahri hui hawa mein bhadakte nahin charagh jhonkon ne lau badhai diye jagmaga diye 'anjum' labon mein jazb huin talkhiyan tamam murjha gai bahaar jo hum muskura diye