banaen ret pe ghar apna ye umang na ho

banaen ret pe ghar apna ye umang na ho
ki mauj-e-ab se hargiz hamari jang na ho

sitamgari ya tashaddud hamara dhang na ho
ye hansti khelti duniya kati patang na ho

khud apne khun se tehwar hum manate hain
khuda-ra aisi masarrat bhari tarang na ho

girengi uthti rahengi diwaren aangan ki
dilon ke bich khalish ki agar surang na ho

sad ehtiram ke qabil wo sang-e-aswad hai
zamin pe us ke muqabil ka koi sang na ho

kushada-zehn ho 'iqbaal' tum sabhon ke liye
kisi bashar ke liye bhi nigah-tang na ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close