kar diya usne mujhe ruswa bahut

kar diya us ne mujhe ruswa bahut
aur phir kuchh soch kar roya bahut

shahr mein aa kar wo bauna ho gaya
ganw mein apne jo tha uncha bahut

us mein sohbat ka asar aaya nahin
sanp sandal se magar lipta bahut

khun mein tar hai magar gumbad pe hai
go kabutar par hua hamla bahut

aaj phir hai chaak par kachcha ghada
aaj phir munh-zor hai dariya bahut

mulk mein adl-e-jahangiri nahin
munsifon mein hai yahi charcha bahut

zarf meyari hai gar 'shakir' tera
mat dene ko yahi mohara bahut


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close