banaya tha KHirad ko rahnuma-e-karwan humne

banaya tha khirad ko rahnuma-e-karwan hum ne
kahan ki manzil apna bhi na paya kuchh nishan hum ne

tasawwur ka takalluf bhi na rakkha darmiyan hum ne
hijabon ka mita kar rakh diya nam-o-nishan hum ne

wahan rudad-e-gham palkon pe aa kar kah gae aansu
jahan kholi na pas-e-zabt se apni zaban hum ne

tujhe kyon dushmani hai baghban in chand tinkon se
banaya hai tere gulshan se hat kar aashiyan hum ne

karishma hai kisi ke husn ki sehrr-afrini ka
khizan ke bhes mein paya bahaaron ko nihan hum ne

rah-e-hasti ki zulmat mein juda jab ho gae rahbar
banaya jazb-e-dil ko rahnuma-e-karwan hum ne

ghulami ke andhere chhat gae muddat hui lekin
na dekha mehr-e-azadi ko ab tak zau-fishan hum ne

kiya duniya mein hum ne aam dastur-e-wafa 'sabir'
sikhai ahl-e-alam ko mohabbat ki zaban hum ne


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close