har dam nigah mein tera husn-o-jamal hai

har dam nigah mein tera husn-o-jamal hai
khamyaza-e-bahaar ka kis ko khayal hai

jo naqsh-e-arzi the wo sab dil se mit gae
baqi jo rah gaya hai wo tera khayal hai

na-paedarion pe hai buniyaad-e-zindagi
anjam har kamal ka ek din zawal hai

ai shaikh hum ko rahmat-e-yazdan pe hai yaqin
mahshar ki baz-purs ka kis ko khayal hai

hum jaante hain zabt-e-fughan khub hai magar
zabt-e-fughan bahaar mein lekin muhaal hai

aae tere huzur ye taufiq hai kise
dekhe tera jamal ye kis ki majal hai

jis ko zara bhi chhu gai sarshaar kar gai
saqi teri nigah mein ye kya kamal hai

ye kaun sa maqam hai ai be-khudi bata
hai khauf-e-hijr dil mein na shauq-e-visal hai

'sabir' yahan sabaat kisi chiz ko nahin
bas gham hi ek chiz hai jo la-zawal hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close