band bahar se meri zat ka dar hai mujh mein main nahin khud mein ye ek aam khabar hai mujh mein ek ajab aamad-o-shud hai ki na mazi hai na haal 'jaun' barpa kai naslon ka safar hai mujh mein hai meri umr jo hairan tamashai hai aur ek lamha hai jo zer-o-zabar hai mujh mein kya tarasta hun ki bahar ke kisi kaam aae wo ek amboh ki bas khak-basar hai mujh mein dubne walon ke dariya mujhe payab mile us mein ab dub raha hun jo bhanwar hai mujh mein dar-o-diwar to bahar ke hain dhane wale chahe rahta nahin main par mera ghar hai mujh mein main jo paikar mein andar ki hun be-tegh-o-zirah aakhirash kaun hai jo sina-sipar hai mujh mein marka garm hai be-taur sa koi har-dam na koi tegh salamat na sipar hai mujh mein zakhm-ha-zakhm hun aur koi nahin khun ka nishan kaun hai wo jo mere khun mein tar hai mujh mein