thikana hai kahin jaen kahan na-chaar baithe hain ijazat jab nahin dar ki pas-e-diwar baithe hain ye matlab hai ki mahfil mein manae aur man jaen wo mere chhedne ko ghair se bezar baithe hain kharidar aa rahe hain har taraf se naqd-e-jaan le kar wo yusuf ban ke bikne ko sar-e-bazar baithe hain achanak le na lun bosa ye khatka un ke dil mein hai mere pahlu mein baithe hain magar hoshyar baithe hain tumhaare aashiqon mein be-qarari kya hi phaili hai jidhar dekho jigar thame hue do-chaar baithe hain qayamat hai sitam murde pe bhi un ko gawara hai mera lasha uthane ke liye aghyar baithe hain lab-e-baam aa ke dikhla wo tamasha tur ka tum bhi bade mauqe se dar par talib-e-didar baithe hain 'asar' kyun-kar na jaanun us ke dar ko qibla-e-alam usi jaanib kai rukh kafir o din-dar baithe hain