band bhi aankhon ko zari kijiye chand pareshan-nazari kijiye ek nazar idhar bhi zari kijiye gar nahin achchhi, nazari kijiye dil ke ewaz dijiye bosa hi ek khub nahin muft-bari kijiye aaine mein dekhiye mukhda miyan aaine ko rashk-e-pari kijiye gar nahin qasid to badal kar ke bhes aap hi paighambari kijiye qadar hunar ki jo hui dekh li ab hunar-e-be-hunari kijiye kaun hai in baaton ka mane miyan khub si bedad-gari kijiye dil ki kuchh us ku se na aai khabar matam-e-yar-e-safari kijiye 'mushafi' hai waqt-e-wida-e-jahan misl-e-charagh-e-sahari kijiye