kuchh hain manzar haal ke kuchh khwab mustaqbil ke hain ye tamanna aankh ki hai wo taqaze dil ke hain hum ne ye nairangiyan bhi dahr ki dekhin ki log dost hain maqtul ke aur ham-nawa qatil ke hain umr sari rah ke patthar hatate kat gai zakhm mere hath mein ek sai-e-la-hasil ke hain ek dhanak lahra rahi hai aansuon ke darmiyan meri aaankhon mein abhi tak rang us mahfil ke hain is se aage kaun jae dasht-e-na-malum mein hum na kahte the ki sare ham-safar manzil ke hain in ko tufanon se kya matlab bhanwar se kya gharaz dost jitne hain tamashai faqat sahil ke hain tu jise apna samajhta hai wo mal-e-ghair hai tere hathon mein jo sikke hain kisi sail ke hain jaanchti hai ghair ko har lahza chashm-e-aib-ju naqsh mujh mein jitne hain sare kisi kaamil ke hain