band darichon ke kamre se purwa yun takrai hai jaise dil ke aangan mein dukhiya ne tan lagai hai pedon ki khamoshi se bhi dil mera ghabraata hai sahra ki virani dekh ke aankh meri bhar aai hai dil ke sahra mein yaadon ke jhakkad aaise chalte hain jaise nain jharoka bhi us pritam ki angnai hai apne dil mein yaadon ne zakhmon ke phul khilae hain jism ki is diwar ke andar kis ne naqab lagai hai patta patta shakh se tute darwazon pe wahshat si yaro prem katha mein kis ne dard ki tan milai hai dariya dariya naw bahe to gori git proti jae un giton ki tan amar hai jin ka rang judai hai panchhi ki chahkar hamesha jangal ko garmati hai khalq-e-khuda ne apne dil mein bas yahi yaad basai hai qadam qadam dukh dard ke sae shahr hue virane bhi kis ne des ke phulon par ab hijr ki rakh udai hai