ji mein aata hai ki chal kar jangalon mein ja rahen nit-nae mausam ke bhi hamrah wabasta rahen aati jati rut ko dekhen apne chashm o gosh se mausamon ke war sah kar bhi yunhi zinda rahen phul phal paude parinde hamdam o dam-saz hon in mein baste hi bhale lekin na yun tanha rahen shahr ke diwar-o-dar har ek se hain na-ashna shahr mein rahte hue kyunkar na begana rahen be-murawwat hai zamana us ka shikwa kyun karen apne andar ke makin ka ban ke ham-saya rahen jism ke andar ghamon ki aandhiyan chalti rahen zahiri surat mein sab chehre tar-o-taza rahen dekhte hi jis ko sab mahrumiyan kafur hon dil mein tufan se uthen chehre magar sada rahen masala ye bhi to hai is ahd ka ai jaan-e-jaan kyun nichhawar jaan karen kis ke liye zinda rahen udte lamhon ko agar qabu mein karna hai 'said' bhagne ko har ghadi har waqt aamada rahen