band kamre mein dam na ghut jae khidkiyan khol do hawa aae aa ke suraj saron pe baith gaya chhup gae hain badan badan sae itna dam to kisi diye mein nahin kaun pagal hawa ko thahrae kya karen le ke aisi barish ko rang phulon ka jis mein dhul jae kabhi tujh ko bhi bhulna chahun koi shaitan hai jo bahkae dasht-e-jaan par baras rahe hain rang ek aanchal faza mein lahrae qaid zindan-e-khamushi mein koi khud bhi tadpe mujhe bhi tadpae