ye jab se raat buzdil ho gai hai

ye jab se raat buzdil ho gai hai
diye ki jang mushkil ho gai hai

charaghon ko zara sa hausla do
hawa kuchh aur qatil ho gai hai

mujhe yun chhod kar jati kahan par
udasi khun mein shamil ho gai hai

kahan mumkin hai us ko dhundhna ab
nadi sahra mein dakhil ho gai hai

use lazzat nahin malum gham ki
use har chiz hasil ho gai hai

tamanna nanw ban kar bah rahi hai
mohabbat ek sahil ho gai hai

dikhae hain tamashe zindagi ne
magar jine ke qabil ho gai hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close