band kar rauzan-e-dar chaho ki rakhna na rahe tak par dekhe nahin jhankne wale tum ne munh ki khaoge meri jaan khuda khair kare munh laga rakkhe hain jis tarah rizale tum ne uf karun dil ke jalan se to kaleja phat jae bulbulo kaise hazaron kiye nale tum ne daman-e-ashk na chhodunga main ai dida-e-tar dil kiya mera hasinon ko hawale tum ne dast-o-pa wadi-e-wahshat ki tamanna thi tumhein aable tod chuke khar nikale tum ne kab shikast aise sanad hai ki dagha ki ai khar hath se phod liye panw ke chhaale tum ne zulf-e-zanjir-e-junun samjhe bhi ai hazrat-e-dil kya pada pech ki panw apne nikale tum ne kis gulistan ki chaman-bandi hai ai mardum-e-chashm nakhl-e-mizhgan se bhare ashkon se thaale tum ne bulbulen phulon se nalan hain ki shabnam ke ewaz qatre simab ke kanon mein hain dale tum ne chashm-o-abru se kisi mast ki be-shak bah ke mai-kasho taq pe kyon rakkhe hain pyale tum ne kahin surat na bandhi naqsh-e-tamanna ki 'nasim' saikdon sim-badan sanche mein dhaale tum ne