gham hi le de ke meri daulat-e-bedar nahin ye khushi bhi hai mayassar koi gham-khwar nahin khud se bhi tod chuka hun main talluq apna ab meri rah mein hail koi diwar nahin aisi sunsan kabhi pahle na thi hijr ki raat dur tak qafila-e-subh ke aasar nahin baat aasan farawani-e-gham ne kar di ab mujhe shikwa-e-na-kaami-e-izhaar nahin zinda rah lun kisi surat to badi baat hai ye warna jaan se to guzarna koi dushwar nahin dam-e-wahshat se rihai nahin mumkin shayad hun asir apna bhi sirf us ka giraftar nahin qissa-e-gham bhi wahi main bhi wahi dil bhi wahi par wo pahla sa khulus-e-dar-o-diwar nahin