band rakhta hun bas ye jaan ke munh kabhi lagiye na bad-zaban ke munh tab kis ko hai tir khane ki kaun aae chadhi kaman ke munh mujh ko kya kya guman guzarta hai pas late hain jab wo kan ke munh mast-e-mai se ulajh na ai gardun buddhe aata hai kyun jawan ke munh pahle wo jhuk ke baat karte the ab chadhate hain sina tan ke munh chhape sandal ke lag gae aakhir do-zabani se mehrban ke munh lal ho kar meri talab pe kaha pahle qabil banao pan ke munh aap ka hukm sun ke laut aaya kaise lagta main pasban ke munh aaj 'faruq' faisla ho jae kholta hun ye dil mein than ke munh