ab nahin hoti hai tanhai pe hairani mujhe

ab nahin hoti hai tanhai pe hairani mujhe
ras aati ja rahi hai dil ki virani mujhe

tesha-e-gham se tarashi ja rahi hai zindagi
rafta rafta mil rahi hai shakl-e-insani mujhe

taziyane dard ke lagte rahenge umr bhar
de gai kaisi sazaen dil ki nadani mujhe

sargiran jab tak raha main sahab-e-dastar tha
bechti phirti hai ab ye meri arzani mujhe

hain ajal aur zindagi ke darmiyan do hi qadam
fasla lagta hai ye bhi kitna tulani mujhe

nakhuda hairat-ba-daman dekhta hi rah gaya
le gai sahil se aa ke mauj-e-tufani mujhe

ek sukun ka sans lene ka tawaqquf mil sake
kash ho jae dukhon mein itni aasani mujhe

hath phailate rahe sare zamane mein 'shakil'
dar-ba-dar le kar phiri hai tang-damani mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close