banda-e-ishq hun juz yar mujhe kaam nahin khwahish-e-nang nahin kuchh hawas-e-nam nahin mazhab-e-ishq ka ye dhang nirala dekha kuchh wahan tazkira-e-kufr aur islam nahin ishq ko jaanta hun din-o-iman apna ghair mashuq parasti mujhe kuchh kaam nahin kaba-e-jaan hai mera kucha-e-jaanan yaro sajda-e-dair-o-haram se mujhe kuchh kaam nahin said-e-murgh-e-dil-e-ashiq liye ai dilbar khal hai dana aur ye zulf kam az dam nahin dard-e-dil ne hamein kya kya hai chakhai lazzat is liye dil ko mere khwahish-e-aram nahin mazhab-e-ishq mein aa kar ke hamin ai 'asim' shah khadim ke siwa aur se kuchh kaam nahin